Friday, October 21, 2011

Ek Rachna .... Last 6 lines mine :-)



Dost milte hain yahan dil ko dukhane ke liye
Ungliyan rakhte hain wo hum pe uthane ke liye

Kya qusoor un ka ye ek rasam chali ayi hai
Tohmatain hoti hain dunya may lagane ke liye

Khuda maan ke baithe hain jin ki kashti may
Wo hamay mojon may laye the dubane ke liye

Wo hawaon ki tarah rukh ko badal laite hain
Hum naseebon se lare the jinhain pane ke liye

Jinki muskurahat laane ko hum farj samajhte hain
Wo kuch kah gaye aisa humein rulane ke liye

Jinki najaron mein kabhi hum basa karte the
aaj wo tarsa rahe hain ek najrane ke liye

Jinse milna hamari sanwarti takdir hoti
wo chod gaye humein kismat azmane ke liye

2 comments:

कविता रावत said...

लिखते रहो बंद क्यों कर दिया ब्लॉग पर लिखना ...

Pammi singh'tripti' said...

Nicely penned..